(page no.11)
السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ
darood sareef ki fazilat-
Huzoor ﷺ ne farmaya”
jis ne mujh par aik bar darood pak parha Allah tala is par das rehmatein bhejta
hai aur is kay namah aamal mein das nekiyan likhta hai.(tarmidi)
Aaqa ﷺ ne farmaya “ Mujh
par Darood Pak parho kiun keh mujh par Darood Pak parhna tumhare gunahon ka
kuffarah hai aur tumhare batin ki taharat hai.
Aaqa ﷺ ne farmaya “ Tum apni majlison ko mujh par Darood Pak parh kar mazaiyan karo kiun keh tumhara mujh par Darood Pak parhna Qiyamat kay din tumhare liye noor hoga.
Aaqa ﷺ ne farmaya “ Mujh par Darood Pak parhne wale ko pul serat par azeem-us-shan noor ata hoga aur jis ko pul serat par noor ata hoga vo ahle dozakh se na hoga.
Aaqa ﷺ ne farmaya “Qeyamat kay din mere hoz e kosar par kuch goroh war hon gay jin ko mein inhein dunya mein darood pak ki kasrat se pehchanta hon ga.
Hazrat Anas se rawayat hai keh Hazrat Muhammad ﷺ ka irshad hai keh “ jis ne mujh par din har mein hazar bar Darood Pak parha vo maray ga nahi jab tak vo jannat mein apni aaram gah na dekh le ga.
Syedena Aisha se rawayat hai keh Hazoor ﷺ ne farmaya” jis shakhs ko yeh baat pasand ho keh jab vo darbar ilahi mein hazir ho to Allah tala is par razi ho to ise chahiye keh mujh par darood pak ki kasrat kare”
Hazoor ﷺ ne farmaya “ Jab tum kisi cheez ko bhool jao to mujh par darood pak parho Insha Allah yaad aajaye gi.
Hazoor ﷺ ne farmaya “ jab do
dost aaps mein milte hain aur vo musafah karte hain aur mujh par darood pak
parhte hain to in donon kay juda hone se pehle pehle donon kay agle pichle
gunah muaf kar diye jate hain.
Hazoor ﷺ ne farmaya “ jo jumah kay roz mujh par so martabah darood pak parhe jab Vo Qeyamat kay din aaye ga to is kay sath aisa noor hoga keh agar sari makhlooq mein taqseem kar dia jaye to sab par hawi ho.
Imama ghazali rahmatullah alaih aik hadees Mubarak naqal farmate hain keh jis ne Jumah kay din aap ﷺ par 80 martabah Darood Pak parha to is kay isi saal kay gunah muaf kar deye jayein gay.
===============================================================================
*_अल्लाह हमे अपने महबूब हुज़ूर सल्लल्लाहों अलैहि वसल्लम।
के सदके इसी तरह इल्मे दीन सीखने समझने और अमल करने की तौफ़िक अता करे।_*
//आमीन//