7. Sab se pehle kayamat ke din Bande se namaz ka hisab liya jayega

   (page no.7)              

   Sabse Pahle Namaz Ka Hisab Hoga-

Hazrat Muhammad   ne farmaya -
"Beshak Wo kaam jiske baare mein Qayamat k Din (marne ke baad) sabse pehle Hisab liya jayega, wo uski NAMAZ hai. Agar Namaz sahi hui to beshak wo Kamyaab hoga. Aur Agar Namaz Kharab hui to Beshak wo Nakam o NaMurad hoga. Bas agar uske Faraiz me kuch kami hui to Allah farmaega, Dekho kya Mere Bande k Naame Amal (kaamo ki list) me kuch Nawafil hai ke uske zariye se Faraiz ki Kami ko pura kar diya jaaye? Phir uske Sare Amal ka Hisab isi tarike se hoga.
(TIRMIZI)

mere pyare pyare muslim bhaiyo aap ne dekha ki hamare marne ke baad sab se pehla hisab namaz ka hoga magar afshos hai ki sab janne ke bawjood bhi namaz chor dete hai logo ke pass wakt rahte huye namaz nahi padhte azaan ki awaz sunte to hai magar ehtaram nahi karte ghar me tv mobile aur sound system chalu rahti hai mana ki jaise khuda ka koi khaof hi nahi hai kitni bure amaal hai mere bhaiyo abhi bhi waqt hai samhal jao namaz padho bure kamo se bacho neki ke rah pe chalo aur jo kuch aap me kami lagti hai khuda se mango ro ro kar apne gunaho ki magfirat mang lo ky pata aap ki duaa kab allah taalasoon le (ya allah ham tamam muslim bhaiyo ko sariaat pe chalne ki taofiq ataa farma,panjatan waqt ka namazi bana AMEEN)
===================================================================
*_अल्लाह हमे अपने महबूब हुज़ूर सल्लल्लाहों अलैहि वसल्लम।  के सदके इसी तरह इल्मे दीन सीखने समझने और अमल करने की तौफ़िक अता करे।_*

             //आमीन//


Post a Comment (0)
Previous Post Next Post