38.mehman Nawazi ka sawab

                                              (Page No.38)

    mehman Nawazi ka sawab-

♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmate Hain –
“Rozi aur Barkat Uss Ghar Ki Taraf Tezi Se Doudhti Hai Jis Me Mehmaan Ke Sath Khana Khaya Jata Hai..”
– (Ibne Majah)

♥ Mafhoom-e-Hadees: RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya
“Jo shakhs Allah aur aakhirat ke din par yaqeen rakhta ho usko apne mehman ki izzat karni chahiye”
– (Sahih Bukhari, Jild 7, Hadith no. 6135)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Uqba bin Aamir (RaziAllahu anhu) se rivayat hai ki
RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya
“Us shakhs me koi Khair (Bhalayee) nahi jo mehman nawazi nahi karta”
– (Masnad Ahmed , Hadith no. 7088 -Sahih Al-Silsila As-Sahiha – 193)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Din-O-Raat Mehmaan Ki Khidmat Uska Jaaiz Haq Hai
Aur Uski Daawat-O-Mehmaan Nawaazi Teen(3) Din Hai, Uskey Baad Ki Mezbaani Uske Liye Sadqa Hai Aur Mehmaan Ke Liye Zyaada Din Thehar Kar Mezbaan Ko Tangi Me Mubtela Karna Jaaiz Nahi Hai..”
– (Bukhari Sharif)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (Razi’Allahu Anhu) Ka Bayan Hai –
Nabi-e-kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“(Mehman Nawazi Ke Mutabik) Sunnat Ye Hai Ki Adami Mehmaan Ko Darwaze Tak Rukhsat Karne Jaye..”
– (Ibne Majah)
=======================================================================
*_अल्लाह हमे अपने महबूब हुज़ूर सल्लल्लाहों अलैहि वसल्लम।  के सदके इसी तरह इल्मे दीन सीखने समझने और अमल करने की तौफ़िक अता करे।_*


             //आमीन//


Post a Comment (0)
Previous Post Next Post