20. nabi e karim sallallaho alaihiwasallam ki mubarak zindagi

                                    (Page No.20)


                 

          नबी करीम  की मुबारक़ जिंदगी-

HAZRAT ANAS رضي الله عنه KA BAYAN HAI KI “PEER(MONDAY) KO LOG FAZR KI  NAMAZ ME LAGE HUE THEY AUR ABU BAKR رضي الله عنه NAMAZ PADHA RAHE THEY KI ACHANAK ALLAH KE RASOOL SALLALLAHO ALLAIHI WASALLAM (PBUH) NE HAZRAT AISHA رضي الله عنه KE HUJRE KA PARDA UTHAYA AUR SAHABA KIRAAM PAR JO SAFEN BANDHE NAMAZ PADH RAHE THEY, NAZAR DAALI,FIR MUSKURAYE,
IDHAR ABU BAKR AIDI(HEELS) KE BAL PEECHE HATE KI SAF ME JAA MILEN,
UNHONE SAMJHA KI ALLAH KE RASOOL NAMAZ KE LIYE TASHRIF LAANA CHAHTE HAIN,
HAZRAT ANAS رضي الله عنه KA BAYAN HAI KI ALLAH KE RASOOL (KE ACHANAK ZAAHIR HONE SE) MUSALMAAN ITNE KHUSH HUE KI CHAHTE THEY KI NAMAZ KE ANDAR HI FITNE ME PADH JAAYEN (YAANI AAPKI TABIYAT JAANNE KE LIYE NAMAZ TOD DEN) LEKIN ALLAH KE RASOOL NE APNE HAATH SE ISHAARA FARMAYA KI APNI NAMAZ POORI KAR LO, PHIR HUJRE KE ANDAR TASHRIF LE GAYE AUR PARDA GIRA LIYA”
SAHIH BUKHARI 1/98,99
ISKE BAAD ALLAH KE RASOOL PAR KISI DUSRI NAMAZ KA WAQT NAHI AAYA,
DIN CHADHE CHAST KE WAQT AAPNE APNI SAHABJAADI HAZRAT FATIMA رضي الله عنه KO BULAYA AUR UNSE KUCH KAAN(EARS) ME KAHA, WAH RONE LAGI, AAPNE UNHE FIR BULAAYA AUR KUCH KAAN ME KAHA, TOH WAH HASNE LAGI,
HAZRAT AISHA رضي الله عنه KA BAYAN HAI KI BAAD ME HAMARE MALUM KARNE PAR UNHONE BATAYA KI(PAHLI BAAR) NABI SALLALLAHO ALLAIHI WASALLAM NE MUJHE KAAN ME BATAYA KI ,AAP ISI BIMARI (ROG) SE WAFAAT PAA JAAYENGE, ISLIYE MAI ROYI,
PHIR AAPNE MUJHSE KAAN ME KAHA KI AAPKE GHARWALON ME SABSE PAHLE MAIN AAPKE PEECHE JAUNGI, IS PAR MAIN HASI,
BUKHARI 2/638
NABI SALLALLAHU ALLAIHI WASALLAM NE HAZRAT FATIMA رضي الله عنه KO YE KHUSHKHABRI BHI DI KI AAP DUNIYA KI TAMAM AURTON KI SARDAR HAIN
RAHMATULLIL AALIMEEN 1/282
US WAQT ALLAH KE RASOOL SALLALLAHO ALAIHIWASALLAM JIS BECHAINI AUR DARD KE SHIKAAR THEY, USE DEKH KAR HAZRAT FATIMA رضي الله عنه BE-AKHTIYAAR PUKAAR UTHI “HAAY ABBA JAAN KI TAKLEEF !”
AAPNE FARMAYA, “TUMHARE ABBA PAR AAJ KE BAAD KOI TAKLEEF NAHI”
BUKHARI 2/282
AAPNE HASAN WA HUSSAIN رضي الله عنه KO BULAKAR CHOOMA AUR UNKE BAARE ME BHALAYI KI WASIYAT KI, BIWION KO BULAYA AUR UNHE NASIHAT KI
IDHAR HAR WAQT TAQLEEF BADHTI JAA RAHI THI , AUR US ZAHER KA BHI ASAR ZAAHIR HONA SHURU HO CHUKA THA, JISE AAPKO KHAIBAR ME KHILAYA GAYA THA,
AAP HAZRAT AISHA(RA) SE FARMATE” AIY AISHA  رضي الله عنه! KHAIBAR ME JO KHAANA MAINE KHA LIYA THA, USKI TAKLEEF BARABAR MAHSOOS KAR RAHA HOON, IS WAQT MUJHE MAHSOOS HO RAHA HAI KI US KE ZAHER KE ASAR SE MERI RAGEN(VEINS) KATI JAA RAHI HAIN”
(WAHI,2/637)
AAPNE SAHABA KIRAAM KO BHI WASIYA FARMAYI, “NAMAZ-NAMAZ AUR TUMHARE AADHEEN!(YAANI LAUNDI AUR GHULAM) AAPNE YE ALFAAZ KAYI BAAR DOHRAYE
AAKHIRI PAL:
PHIR KOMZORI( WAFAAT SE KUCH DER PAHLE KI) SHURU HO GAYI AUR HZ AISHA NE AAPKO APNE UPER SAHARA DEKAR TEIK LIYA,
UNKA BAYAN HAI KI ALLAH KI EK NEMAT MUJH PAR YAH HAI KI “ALLAH KE RASOOL NE MERE GHAR ME MERI BAARI KE DIN ME LABBE AUR SEENE KE DARMIYAAN WAFAAT PAYI AUR AAPKI MAUT KE WAQT ALLAH NE MERA LUAAB(SALIVA) AUR AAP KA LUAAB EK(JAMA) KA DIYA,
(WAHI,2/637)
HUWA YAH KI ABDURREHMAN BIN ABU BAKR(RA) AAPKE PAAS TASHRIF LAAYE, UNKE HAATH ME MISWAK THI, AUR MAIN ALLAH KE RASOOL KO TEKE HUE THI,MAINE DEKHA KI AAP MISWAK KI TARAF DEKH RAHE HAIN, MAIN SAMAJH GAYI KI AAP MISWAK KARNA CHAHTE HAIN, MAINE KAHA, AAPKE LIYE LE LUN?
AAPNE SIR SE ISHARA FARMAYA KI, HAAN!
MAINE MISWAK LEKAR AAPKO DI, TOH AAPKO SHAKT MAHSOOS HUI, MAINE KAHA ISE AAPKE LIYE NARM (MULAYAM) KAR DUN?
AAPNE SIR KE ISHARE SE KAHA , HAAN!
MAINE MISWAK NARM KAR DI AUR AAPNE BAHUT ACCHI TARAH MISWAK KI, AAPKE SAAMNE KATORE(BOWL) ME PAANI THA ,AAP PAANI ME HAATH DAALKAR PONCHTE JAATE THEY AUR FARMATE JAATE THEY ” ALLAH KE SIWA KOI MABOOD NAHI, MAUT KE LIYE SAKHTIYAN HAIN”
BUKHARI 2/640
MISWAK SE FAARIG HOTE HI AAPNE HAATH YA UNGLI UTHAI, NIGAAH CHHAT(ROOF) KI TARAF BULAND KI AUR DONO HONTHON PAR KUCH HARQAT HUI,
HZ AISHA(RA) NE KAAN LAGAYA TO AAP FARMA RAHE THEY,” UN NABION, SIDDIQON, AUR SHAHIDON KE SAATH, JINHE TOONE INAAM SE NAWAAZA, AIY ALLAH MUJHE BAKHS DE, MUJH PAR RAHAM KAR, AUR MUJHE RAFEEQ-E-AALA ME PAHUNCHA DE, AIY
ALLAH! RAFEEQ-E-AALA,


             //आमीन//



(WAHI,BUKHARI BAAB MARJUNNABI BAAB AAKHIRU MA TAKALLAMANNABI 2/638-641)
AAKHIRI ALFAAZ 3 BAAR DOHRAAYA AUR USI WAQT HAATH(HAND) JHUK GAYA AUR AAP RAFEEQ-E-AALA SE JAA MILE,
INNA LILLAHI WA INNA ILLAIHI RAAJIUN
YE WAQEYA 12 RABI-UL-AWWAL 11 HIJRI DIN SUMWAAR(MONDAY), CHAST KE WAQT HUI, US WAQT AAP KI UMR(AGE) 63 SAAL 4 DIN HO CHUKI THI
YE BAYAN SAHIH HADITH KI ROSHNI ME ” AR-RAHIQ-UL-MAKHTOOM” SE LIYA GAYA HAI, JO SEERAT-E-NABWI KE AALIMI MUQABLE ME AWWAL INAAM PAANE WAALI KITAAB HAI.. JISKE WRITER “MAULANA SAFIURRAHMAN MUBARAKPURI (RH)” HAIN
INKA INTEKAAL HO CHUKA HAI
ALLAH INKO JANNATUL FIRDAUS ME AALA MUQAAM ATAA KARE
AAMEEN
==================================================================
*_अल्लाह हमे अपने महबूब हुज़ूर सल्लल्लाहों अलैहि वसल्लम।  के सदके इसी तरह इल्मे दीन सीखने समझने और अमल करने की तौफ़िक अता करे।_*


Post a Comment (0)
Previous Post Next Post