(Page No.18)
QAYAMAT KI ALAMAT KI KUCH NISHANIYA-
»»►Farman-E-Mustafa ◄««
QAYAMAT KI ALAMAT KI KUCH
NISHANIYA
»»►AL- HADEES ◄««
Hamare AAQA TAJDAR~ E~KAYNAT
NABI-E-KAREEM (SAL LAL LAHU ALAYHI
WA SALLAM) Ne Farmaya:-
"Har Aane Wala Zamana Guzre
Zamane Se Bura Ho Ga."
~(Bukhari Sharif, Hadees No # 7068)
Dour-E-Akhir Andheri Raat Ki
Manind Fitne Nazil Honge.
Aadmi Subha Ko Momeen Hoga Toh
Sham Ko Kafir Ho Jayega Aur Agar
Sham Ko Momeen Hoga To Subha
Ko Kafir Ho Jaiga.
Log Duniya Key Kuch Samaan Ki
Khatir Apna Deen-o- Imaan Tak
Bech Dale Ge.
~(Muslim Sharif, Hadees No # 118)
Aur Ek Waqt Aayenga Jab Log Neiki
Ko Mayub Aur Burai Par Faqara
Karenge,
Us Waqt Har Tarha Ki
Asaaish Muyasir Honge
Har Ghar Me Nanch Gane Honge
Log Mukhlif Bimario, Pareshanio
Mein Mubtila Honge.
Maa Aur Noukrani Mein Koi Farq Na
Honga,Log Imarten Ek Dusre se
Unchi Banayenge.
AAP AAQA-E-DO JAAHAN(SAL LAL LAHU
ALAYHI WA SALLAM) Ne Farmaya,
Jab Aisa Zamana Aaye Toh Kasrat Se
"Astagaffar"{Astagferullah(ALLAH SE MAAFI)}
Padna Kyun Ki Yeh Sabse Mufeed
Amaal Hoga.
*Amanatdaro Par Ungliya Utaaye
Jayengi Aur Beimano Ke Sir Par Taj
Rakha Jayenga.
*Ilm Ut Jayenga Aur Har Taraf
Jahalat Chha jayengi.
~(Bukhari Sharif, Hadees No # 6767)