♥ Al-Quraan: Allah Ta’ala Yakinan Unn
Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unkey Darjaat
Buland Kar Ke Rahega.
– [Surat Al-Mujadila(58): Ayat-11]
– [Surat Al-Mujadila(58): Ayat-11]
♥ Isi Tarha Ilm Ki Ahmiyat Aur Fazilat Ke Talluk Se
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai –
» Hadees: “Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai”.
– (Miskat P:24)
» Hadees: “Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai”.
– (Miskat P:24)
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Ilm Hasil Karna Har Ek Musalmam
(Mard Aur Aurat) par Farz Hai”.
– (Sunan ibn Majah, Vol-1, Hadith-224)
– (Sunan ibn Majah, Vol-1, Hadith-224)
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Har Cheez Ka Ek Raasta Hai Aur
Jannat Ka Raasta Ilm Hai”.
– (K.Ummal)
– (K.Ummal)
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Raat Me Ek Pal (Ghadi) Ke Liye
Ilm Padhna Padhaana
Raat Bhar Ki Ibadat Se Behtar Hai”.
– (Darami, Mishkat Sharif, Anwarul Hadis Page-58)
Raat Bhar Ki Ibadat Se Behtar Hai”.
– (Darami, Mishkat Sharif, Anwarul Hadis Page-58)
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Ilm Ki Majlish Me Haazir Hona
1000 Nafil Padhne Se Afzal Hai”.
– (Tafseer Roo’hul Bayaan, J#10, P#221)
– (Tafseer Roo’hul Bayaan, J#10, P#221)
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Behtareen Sadqa Yeh Hai Ki
Musalman Aadmi Ilm Haasil Kare,
Phir Apne Musalman Bhai Ko Sikhaaye”
– (Ibn-e-Majah J:1 S:158 H:243)
Phir Apne Musalman Bhai Ko Sikhaaye”
– (Ibn-e-Majah J:1 S:158 H:243)
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Ilm Ki Talab Me Jis Ke Qadam
Khak Aalud Ho.
Allah Uske Jism Ko Jahannam Par Haraam Kar Dega
Aur Allah Ke Farishte Uske Liye Dua-e-Magfirat Karenge”.
– (Tafsir-e-Kabir)
Allah Uske Jism Ko Jahannam Par Haraam Kar Dega
Aur Allah Ke Farishte Uske Liye Dua-e-Magfirat Karenge”.
– (Tafsir-e-Kabir)
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Jo Ilm Ki Talaash Me Kisi Raste
Par Chalta Hai,
Allah Uske Liye Jannat Ka Rasta Aasaan Farma Deta Hai”.
– (Ibne Maja, Jild-1, Page:145)
Allah Uske Liye Jannat Ka Rasta Aasaan Farma Deta Hai”.
– (Ibne Maja, Jild-1, Page:145)
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Jo Shakhs Talab-e-Ilm Me Rehta
Hai, Allah Uske Rizq Ka Zaamin Hai”.
– (Tareekh-e-Baghdad, Raqam-1535, Jild-3, Page-398)
– (Tareekh-e-Baghdad, Raqam-1535, Jild-3, Page-398)
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Jis Ne Ilm Talash Kiya Tou Yeh
Talash Uskey Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Ho Gayi”.
– (Mir’aatul Manahij, Jild 1, Safa 203)
– (Mir’aatul Manahij, Jild 1, Safa 203)
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Jis Shakhs Ko Iss Haal Me Mout
Aaye Ki Wo Ilm Hasil Kar Raha Ho, Taa’ki Iss Ke Zariye Islam Ko Zinda
Karey(Faila Sakey) Tou Uss Ke Aur Ambiya Ke Darmiyan Jannat Me Sirf Ek Darjah
Ka Farq Hoga”.
– (Mishkat Sharif: Hadith no.231)
– (Mishkat Sharif: Hadith no.231)
♥ Aakhir Me Allah Rabbul Izzat Se Dua Hai Ke, Allah Hum
Tamaam Ko Beshumar Ilm Aur Amal Ki Taufiq Dey,
Beshumaar Sharayi Aur Duniyawi Ilm Ki Doulat Se Nawaze …
Sahih Ilm Ke Jarye Allah Ki Marfat Hasil Karne Ki Taufiq Ata Farmaye …
Jab Tak Humey Zinda Rakhe Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhe …
Khaatma Humara Imaan Par Ho…
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

===============================================================================
*_अल्लाह हमे अपने महबूब हुज़ूर सल्लल्लाहों अलैहि वसल्लम।
के सदके इसी तरह इल्मे दीन सीखने समझने और अमल करने की तौफ़िक अता करे।_*
//आमीन//