(Page No.50)
Hadith: Tauba ka darwaza tab tak band nahi hoga jab tak ki suraj magrib se na nikle-
Hadith: Muawiya Radi allahu anhu se
rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya hijrat ka silsila
tab tak khatam nahi hoga jab tak ki tauba ka darwaza band na ho jaye aur tauba
ka darwaza tab tak band nahi hoga jab tak ki suraj magrib se na nikle
Sunan Abu Dawud, Vol 2, 707-Sahih
Sunan Abu Dawud, Vol 2, 707-Sahih
Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se
rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat us
waqt tak qayam na hogi jab tak Do Azeem jamatein jung na karegi in dono jamaton
ke darmiyan badi khoon-rezi hogi halanki dono ka dawah ek hi hoga (yani ek hi
mazhab ko maane wale honegy ) yahan tak ki bahut se chote dajjal bheje jayenge
taqreeban 30 Dajjal unmein se har ek dawah karega ki wo ALLAH ka Rasool hai
yahan tak ki ilm utha liya jayega aur zalzalon ki kasrat hogi aur zamana kareeb
ho jayega aur fitne zahir ho jayenge aur harj bad jayega harj yani Qatl, yahan
tak ki tumhare pass maal ki kasrat ho jayegi yahan tak ki parhzigar aur
Sahab-e-maal ko ye fikr hone lag jayegi ki uska sadqa kaun qubul karega aur
yahan tak ki wo (sadqa) pesh karega magar jiske samne pesh karega wo kahega ki
mujhe iski jarurat nahi aur yahan tak ki log badi badi imaraton mein aapas mein
fakhr karenge , ek se ek badkar imaratein banayengey, aur yahan tak ki ek
shaksh dusre ki kabr par se guzrega aur kahega ki kaash main bhi isi jagah hota
aur yahan tak ki suraj maghrib se nikal jayega , jaise hi wo (suraj) is tarah
tulu hoga aur log dekh lenege to sab log Imaan le aaayenge lekin ye wo waqt
hoga jab kisi aise shaksh ko iska imaan lana fayda na dega jo pahle se imaan na
laya hoga aur usne apne imaan ke saath achchay kaam na kiye hon
Aur Qayamat achanak is tarah qayam ho jayegi ki do aadmiyon ne apne darmiyan kapda phaila rakha hoga ise abhi bech bhi na paaye honge aur na hi lappet paye honge , aur qayamat is tarah aa jayegi ki ek shaksh apni oontni ka doodh nikal kar wapas hua hoga aur abhi use pee bhi nahi paya hoga , aur qayamat is tarah qayam ho jayegi ki wo apne hauz ko durast kar raha hoga aur abhi usmein se paani bhi nahi pee sakega aur Qayamat is tarah qayam ho jayegi ki usne apna luqma munh ki taraf uthaya hoga aur abhi use khaya bhi nahi hoga
Sahih Bukhari, Vol 8, 7121

=================================================================================
*_अल्लाह हमे अपने महबूब हुज़ूर सल्लल्लाहों अलैहि वसल्लम।
के सदके इसी तरह इल्मे दीन सीखने समझने और अमल करने की तौफ़िक अता करे।_*
//आमीन//