(Page No.51)
Hasad Kya Hai Aur Iss Se Panaah-
# Hasad Ka Taruf:
“Kisi Ko Khaata-Peeta Ya Falta-Foolta Dekh Kar Dil Me
Jalna Aur Uski Neymato Ke Zawaal (Khatam Hone) Ki Tamanna Karna Iss Kharab
Aadat Ka Naam Hasad Hai ,..
» Hasad Bahut Hi Kharab Aadat Aur Nihaayat Hi Buri Bala
Hai, Gunaah-e-Azeem Hai!
» Hasad Karne Waale Ki Saari Zindagi Jalan Aur Ghutan Ki
Aag Me Jalti Rehti Hai,
– Aur Ussey Chain Wa Sukoon Kabhi Naseeb Nahi Hota.
– (Ahyaaul Uloom Jild-3, Safa-187)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Kisi Insan Ke Dil Me Emaan Aur Hasad Ekhatte Nahi Reh
Sakte”
– (Sahih Bukhari Sharif)
– Yaani Ke Imanwala Hasad Nahi Kar Sakta!
– Ya Fir Jo Hasad Karey Wo Emaanwala Nahi!!
Ek Riwayat me Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Apne Aapko Hasad (Jalan) Se Bachao!!!
Beshaq Hasad Nekiyon Ko Iss Tarah Kha Jata Hai, Jaise Aag
Sookhi Lakdi Ko Kha Jati Hai.”
– (Abu Dawood)
» Hasad Aisi Buri Cheez Hai jo Emaan Ko Khokla Aur Allah Ki Rehmat Se Mehroom Kar Deti Hai.
– Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rahmatullah Alayh)
# Hasad Se Panaah !
Jis Tarha Se Hame Hasad Karne Se Bachne Ka Hukm Diya Gaya
Hai, Ussi Tarha Se Haasid Ke Sharr Se Panaah Maangne Ki Dua Ke Liye Bhi Kaha
Gaya Hai. Quraan-e-Paak Me Iss Tarha Se Dua Karne Ko Kaha Gaya Hai Ke,
♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Allah Ki Panaah Maangta Hoon, Haasid Ke Sharr Se Jab Wo
Hasad Kare..” !!Ameen!!
– (Sureh Al-Falaq, Aayat 5)
===============================================================================
*_अल्लाह हमे
अपने महबूब हुज़ूर सल्लल्लाहों अलैहि वसल्लम। के सदके इसी तरह इल्मे दीन सीखने समझने और अमल करने की तौफ़िक अता करे।_*
//आमीन//