52. surah al juma

               (Page No.52)

Jumma Ka Din (Namaz Se Pahle Aur Baad Ke Amal)

♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Aye Imaan Walo! Jab Jumma Ke Din Ki Namaz Ke Liye Pukara Jaye Tou Allah Ki Yaad Ki Taraf Chal Paro Aur Khareed-O-Farokht Chorh Do, Yah Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jano. Phir Jab Namaz Puri Ho Jaye Tou Zameen Me Fail Jao Aur Allah Ka Fazal(Rozi) Talash Karo, Aur Allah Ko Kasrat Se Yaad Karo, Taaki Tum Kamyabi Pao”.
– (Surah Al-Jumu’ah, Aayat:9-10)

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
# Allah Rabbul Izzat Hume Namaze-Jumma Ki Tamam Arqano Ko Khuluse Dil Se Ada Karne Ki Taufiq Dey ,..
# Mere Tamam Momin Bhaiyo-Behno , Buzurgo-Dosto Aur Maao Ki Salamti Ata Farmaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!


===============================================================================
*_अल्लाह हमे अपने महबूब हुज़ूर सल्लल्लाहों अलैहि वसल्लम।  के सदके इसी तरह इल्मे दीन सीखने समझने और अमल करने की तौफ़िक अता करे।_*

             //
आमीन//


Post a Comment (0)
Previous Post Next Post