162. JUMA BEHTAREEN DIN

✦ Juma Behtareen Din


♥ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
‘Behtareen din, jis par Suraj Tuloo hokar Chamke, Wo Juma ka din hai, isi din Aadam (A.S.) paida hue, isi din jannat me Dakhil kiye gaye, isi din Jannat se (Zameen par) Utaare gaye aur Qayamat bhi Juma ke Din Qayem hogi.’



♥ Hadees: Abu Lubaaba (Razi’Allahu Anhu) se riwayat hai Ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:
‘Juma ka Din Dino’n ka Sardar hai, Allah ke nazdeek Badaa Din hai aur ye Allah ke Nazdeek Eid-uz-Zuhaa aur Eid-ul-Fitr se bhi badaa hai, is me 5 baatei’n hain:
1. Is me Allah Ta’ala ne Aadam (A.S.) ko paida kiya.
2. Is me Allah Ta’ala ne Aadam (A.S.) ko Zameen par utaara.
3. Is Din Aadam (A.S.) Faut (Wafat) hue.
4. Is me 1 Ghadi hai jo banda is Ghadi me Allah Ta’ala se Sawaal karta hai wo isko de deta hai jab tak wo Haraam Cheez ka sawaal na kare.
5. Is din Qayamat Qaaem hogi, koi Muqarrab Farishta na Aasmaan me, na Zameen me, na hawaa me, na Pahaad me aur na dariya me magar wo Juma se Darte hain.’


📕 (Ibne Majja: Iqamatis Salah 1084) Imam Buseeri ne Hasan kaha.
_________________________________________

✦ Juma ki Farziyyat:

Allah Rabbul Izzat Quran-e-Majid me farmata hain:
♥ Al-Quran: ‘Aey Ahle Eman! jab Juma ke Din Namaz (Juma) ke liye Azaan di Jaae tou Allah ke Zikar (Khutba aur Namaz) ki taraf Daudo aur (Is Waqt) Karobaar Chod do. Agar tum samjho tou ye tumhare haq me bahot behtar hai.’

📕 Surah: Al Juma 9


♥ Hadees: Abu Al Ja’ad Zamri(R.A) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
‘Jo Shakhs Susti ki wajah se 3 Juma Chod dey tou Allah Ta’ala iske dil par Mohar lagaa deta hai.’

📕 Abu Dawood: al Salah 1052 – Tirmizee: 499
📕 Ise Imam Hakim V1 P 280,
📕 
Imam Ibne Khuzaima 1858,
📕 
Imam Ibne Hibban 554 aur
📕 
Imam adh-Dhahabi ne Sahih kaha.


♥ Hadees: Aap(ﷺ) ne farmaya:
‘Log juma Chodne se baaz Aajaaei’n warna Allah Ta’ala inke Dilo’n par Mohar Lagaa dega phir wo Gafil ho Jaayenge.’

📕 Muslim: al Juma 825


♥ Hadees: Ibne Masood (R.A) se riwayat hai ke Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya Ke:
“Mera Dil Chaahta hai ke main kisi Shakhs ko Hukam du’n ke wo logo’n ko namaz padhaye phir Main in logo’n ke Gharo’n ko Jalaadu’n jo bila uzr juma Mein nahi aate,..”

📕 Muslim: al Masaajid 605

WAJAHAT: Maloom hua ke Juma ka Chodna bahot bada Gunah hai, is par Shadeed Waeed (Warning) hai. Lehaaza har musalman par juma Padhna farz hai. Is mein hargiz Susti nahi karni chaahiey. Jab Khateeb mimbar par chadhe, aur azaan ho jaae tou saare karobaar haraam hojaate hain.

✦ Juma ki Fazeelat:

♥ Hadees: Abdullah bin Umar(R.A) riwayat hai ke Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
‘Jo Shakhs Juma ke Din Masjid me Haazir ho Khamoshi aur Sukoon ke Sath Khutba Sune, kisi Musalman ki Garden na phalange, kisi ko takleef na de tou ye Amal is ke Guzishta Juma se lekar is Juma Tak aur 3 Din Mazeed is ke Gunaho’n ka Kaffara ban Jaata hai, kyo’nke Allah Ta’ala ne farmaya ke har Neki ke liey 10 Gunaho’n ka Sawaab hai.’

📕 Abu Dawood: al Salah 1113


♥ Hadees: Nabi-e-Rahmat (ﷺ) ne farmaya:
‘Jo Shakhs Juma ke roz khoob acchi tarha Nahaaye, aur paiydal (by walk) (Masjid me) Jaae kisi Sawaari par sawaar na ho, Imam ke Nazdeek ho kar dil Jamai se Khutba Suney aur koi Llaghoo Baat na kare tou isko har Qadam par 1 Baras ke Rozo’n ka aur iski Rato’n ke Qiyaam ka Sawaab hoga.’

📕 Tirmizee: al Juma 492
📕 Abu Dawood: al Tahaara 345
📕 
Imam Ibne Hibban – 559,
📕 Imam Hakim V1 P 281,282 aur
📕 Imam adh-Dhahabi ne ise Sahih kaha.


♥ Hadees: Salman Faarsi se riwayat hai ke Rasool’Allah(ﷺ) ne farmaya:
‘Jo Shakhs Juma ko Nahaae aur jis Qadr Paaki Haasil ho Sakey kare, (Muchei’n Katraae, Naaqhun Kataae, Zer-e-Naaf Ke Baal mondhe aur Baghlo’n ke Baal door kare Waghaira) Phir tel ya apne Ghar se khushboo lagaae aur (Juma ke liey) Masjid ko Jaae. (waha’n) 2 Aadmiyo’n ke Darmiyan Raasta na banaae (balke jaha’n jaga miley baith jaae) phir apne Muqaddar ki Namaz padhe. Phir Dauraan khutba khamosh rahe tou iske Guzishta juma se lekar is Juma tak ke Gunaah Bakhsh diey jaate hain.’

📕 Bukhari: al Juma 883


✦ Juma ke Din Qubooliyat waali Ghadi:

♥ Hadees: Rasool’Allah(ﷺ) ne farmaya:
‘Juma ke din 1 Ghadi aisee hai ke jo Musalman is ghadi me Allah Ta’ala se Bhalaai ka Sawaal kare tou Allah Ta’ala isko Qubool karta hai aur Aap(ﷺ) ne hath se ishaara kiya ke ye Waqt Qaleel hota hai.’

📕 Bukhari: al Juma 935
📕 Muslim: al Juma 852

♥ Hadees: Abu Musa Asha’aree (R.A) se riwayat hai, Nabi-e-Rahmat(ﷺ) ne farmaya:
‘Juma ki Qubooliyat ki Ghadi imam ke (mimbar par) baithne se lekar Namaz ke Khatme tak hai.’

📕 Muslim: 753


♥ Hadees: Jaabir bin Abdullah farmate hain ke Rasool’Allah(ﷺ) ne farmaya ke:
‘Is Ghadi ko Asr ke baad Talaash karo.’


♥ Hadees: Anas bin Maalik (R.A) se riwayat hai ke, Rasool’Allah(ﷺ) ne farmaya:
‘Is Ghadi ko Juma ke din Asr se Ghroob-e-aftaab tak Talaash karo.’


✦ Juma ke Masaael:

✲ Juma Kispar Wajib Hai ?

♥ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya: ‘Ghulaam, Aurat, Bacche aur Beemar ke Alaawa Juma Padhna har Musalman par Waajib hai.’


♥ Hadees: Abdullah bin Abbas (R.A) farmate hain: ‘Masjid-e-Nabavi ke baad jo sab se pehla juma padha gaya wo behreen ke gaou’n jawaasi me Abdul Qais ki masjid mein tha.’

Is se saabit hua ke gaou’n me bhi juma padhna zaroori hai agar log Gaou’n me juma nahi padhei’nge tou Gunahgaar ho’nge.


✲ Asad bin Zaraara (R.A) ne ‘Naqee al Khazmaat’ ke ilaaqa me banu biyaaza ki basti ‘Hazmul Nabiyeet’ (Jo Madeena se 1 meel ke faasla par thee) me juma Qaaem kiya, inke sath 40 namaazi they.’


✲ Abdullah bin Umar (R.A) Makka aur Madeena ke darmiyan basne waale logo’n ko juma padhte dekhte tou eteraaz na karte.

  • (Musannaf Abdur Razzaq V3 P170)
  • Imam Hafiz ibne Hajar ne ise Sahih kaha.

✲ Shiddat ki Barish me Juma ki Namaz padhni Waajib nahi.

✦ Hadith: Hunain ke din barish ho rahi thi to RasoolAllah ﷺ ne muezzin ko hukam diya: ‘Aap apni, apni qiyaam gaho’n mein namaz padhne ka elaan kardo aur wo juma ka din tha.’

Maloom hua ke barish ke roz juma ki namaz padhni waajib nahi. Yaani agar barish ke roz juma padh liya jaae tou jaaez hai aur barish ke baais agar juma chod kar Zohar padh li jaae tou juma chodne ka Gunah nahi hoga.

✲ Eid aur Juma Ek hi Din aaye tou ?

✦ Hadith: Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ke Nabi-e-Akram(ﷺ) ne farmaya: ‘Aaj ke din 2 eidai’n (Eid aur Juma) ekhatti hogai hain. Jo Shaqs sirf eid padhna chaahe tou isey wo kaafi hai, lekin hum (eid aur juma) dono padhenge.’


✲ Abdullah bin Zubair(R.A) ke zamaane me Juma ke din Eid hui. Tou inhone Namaz-e-Eid padhai, Juma na padhaya. Is waqea ki khabar Ibne Abbas ko mili tou inhone farmaya: inka ye amal Sunnat ke Mutaabiq hai.


♥ Hadees: Rasool’Allah(ﷺ) ne farmaya: ‘Agar Gunjaeesh ho tou Juma ke liey rozana istemaal hone wale Kapdo’n ke alaawa kapde banaao.’


✲ Shiddat ki Sardi me juma ki Namaz:

Sayyadna Anas(R.A) kehte hain ke Rasool’Allah(ﷺ) Shiddat ki Sardi me juma ki Namaz Sawere Padhte they aur Shiddat ki garmi me der se padhtey they.


✲ Rakat Chutt Jaye Tou ?

✦ Hadith: Nabi-e-Rahmat (ﷺ) ne farmaya: ‘(Imam ke sath) Jitni Namaz paalo wo padho aur jo reh jaae isey poora karo.’

Is Hadees ki ru se Namaz-e-Juma ki doosri rakat ke Sajda ya Tasshahud ko paane wala (Salam pherne ke baad uth kar) 2 rakatei’n hi padhega (4 nahi) kyou’nke is ki faut Shuda Namaz 2 rakatei’n hain 4 rakatei’n nahi.


✦ Dauran e Khutba 2 Rakatei’n Padhkar Baitho:

✦ Hadith: Rasool’Allah (ﷺ) Juma ka khutba irshad farma rahe they ke Ek Sahabi Saleek Ghatfaani (R.A) masjid me aae aur 2 rakatei’n padhe baghair baith gae. Nabi-e-Rahmat (ﷺ) ne poocha: kya tum ne 2 rakatei’n padhi hain ?

Inho’n ne arz kiya: Nahi Ya Rasool’Allah ! (ﷺ)
Aap ne hukam diya: ‘Khade ho jaae aur 2 rakatei’n padh kar baitho.’ Phir Aap (ﷺ) ne (saari ummat ke liye) hukam de diya ke: ‘Jab tum me se koi aise Waqt Masjid me aae ke imam khutba (juma) de raha ho tou isey 2 Muqhtasar si rakatei’n padh leni chaahiey.’

Maloom hua Imam khutba me Muqtadi se Qalam kar sakta hai aur isko(Muqtadi ko) koi hukam bhi de sakta hai.

✦ Juma se pehle Nawaafil ki Ta’adaad:

♥ Hadees: Abu Huraira se riwayat hai Rasool’Allah ne farmaya ke:
‘Jisne Ghusl kiya, Juma me aaya jitni Taqdeer me thee Namaz padhi khutba se faarigh hone tak chup rahaa phir imam ke sath Namaz padhi iske juma se Guzishta juma tak aur 3 din ke aur Gunah Muaf ho gaye aur jo Kankariyo’n se khele isne Fuzool Kaam kiya.’

Is riwayat se ye bhi maloom hua ke juma se pehle rakatei’n muqarrar nahi hain balke Imam ke khutba shuroo karne se pehle jis qadar ho sake nawaafil adaa karta rahe, magar 2 rakat zaroori hain.


✦ Khutba Juma ke Masaael:

❝ Rasool’Allah (ﷺ) Do(2) khutbe irshad farmate, inke darmiyan baithte.

❝ Rasool’Allah (ﷺ) khutbe me Quran-e-Majeed padhte aur logo’n ko Naseehat karte.

❝ Aap (ﷺ) ki Namaz bhi ausat darje (medium) aur khutba bhi ausat darje ka hua Karta tha.


♥ Hadith: Aap (ﷺ) ne farmaya:
‘Aadmi ki lambi ki lambi Namaz aur Muqhtasar khutba iski Danaai ki Alaamat hai, pas Namaz Taweel karo aur khutba Muqhtasar karo.’


♥ Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) khuba Juma me Surah Kahf tilaawat farmate they.


♥ Hadith: Abu Huraira (R.A.) riwayat karte hain ke Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
‘Juma ke khutba mein jab to apne paas baithne wale ko (Izaara Naseehat) (advise) kahe ‘Chupp Raho’ tou bilaa shuba tuney bhi laghoo (bekaar) kaam kiya.’

Is se saabit hua ke dauraan e khutba (Samaeen ko aapas me) kisi Qisam ki baat karna jaaez nahi hai. Badi khamoshee se khutba sunna chaahiey. Albatta khateeb aur muqtadee zaroorat ke waqt ek doosre se muqhatib ho sakte hain.


♥ Hadees: Abdullah bin Umar (R.A) kehte hain Rasool’Allah(ﷺ) ne farmaya:
‘Jise juma ke waqt oungh aae wo apni jagah badl le.’


♥ Hadees: Ibne Umar (R.A) kehte hain ke Rasool’Allah(ﷺ) ne mana farmaya ke aadmi apne bhaai ko utha kar iski jagah par baithe. Aapse poocha gaya kya sirf juma me mana hai ?
Farmane lage Juma me aur iske alaawa bhi.


♥ Hadees: Ammara bin Ruwaiba(R.A) ne basher bin marwaan ko juma ke din member par dono’n hath uthaa‐te hue dekha tou farmaya: Allah Ta’ala in dono’n hatho’n ko halaak kare.
Nabi-e-Akram khutba mein sirf 1 hath ki Shaadat waali ungli se ishaara karte they.


♥ Hadees: Nabi e Rahmat(ﷺ) ne khade hokar khutba diya aur Aap ke hath mein A’asaa ya kamaan (Stick or Bow) thi.


♥ Hadees: Abu Barda (R.A) se riwayat hai ke 1 dafa Rasool’Allah(ﷺ) hamei’n khutba de rahe they ke Hasan (R.A) aur Husain (R.A) aae (aur wo surqh Qamees pehne hue they, wo mushkil se chal rahe they)
Rasool’Allah (ﷺ) mimbar par se utre inhei’n uthaaya aur apne saamne bithaya, phir farmaya ke ‘Allah Ta’ala ne sach kaha ‘Beshak Tumhaara Maal aur Tumahri Aulaad Aazmaesh Hain’ maine in dono’n baccho’n ko dekha jo mushkil se chal rahe they pas mujh se sabar na hua hatta ke main ne apna Qalam munqate (discontinued) kiya aur inhei’n uthaaya.’

Maloom hua Imaam apna khutba chod kar kisi zaroorat ko poora karsakta hai.


♥ Hadees: Nabi-e-Rahmat ﷺ ne dauraan e khutba goat maar kar baithne se mana farmaya:

Goat maarna is tarha baithne ko kehte hain ke hath ya kapde ke sath rano’n ko peth se milaa kar baithe. Is tarha baithne se umooman neend ajaati hai phir aadmi khutba nahi sun sakta. Alaawa azeei’n is haalat me aadmi askar gir padta hai. Nez Sharamgaah ke be hijaab hone ka imkaan hota hai.


♥ Hadees: Jaabir se riwayat hai ke Rasool’Allah khade hokar khutba dete aur 2 khutbo’n ke darmiyan baith‐te. Jo shaqs ye kahe ke Aap baith kar khutba dete the is ne ghalat bayaani ki.


♥ Hadees: Ka’ab bin Ujrah (R.A) se riwayat hai ke,
Wo masjid me daqhil hue aur Abdur Rahman bin Ummul Hakam baithe hue khutba de rahe the. Ka’ab (R.A) ne kaha: is khabees ki taraf dekho, baithe hue khutba deta hai. Halaa’nke Allah Ta’ala fermata hai: ‘Aur jab ye log koi Sauda bikta dekhte hain ya koi tamaasha dekhte hain to iski taraf bhaag uth‐te hain aur Aap ko (khutbe mein) khadaa hi chod dete hain.’

Maloom hua ke baith kar juma ka khutba dena khilaf-e-sunnat hai. Kyou’nke Sahaabi ne ayaat se Aap ke khutba me khade hone par istedlaal kiya. Rasool’Allah ne khutba diya. Aap ke sar par siyah rang ka A’amaama tha. Iske do’no sirey aap ne kandho’n ke damiyan chode hue the.


✦ Mafhum-e-Hadith: Rasool’Allah(ﷺ) ne Juma ke din masjid me namaz-e-juma se pehel halqa banaane se mana farmaya.

Lehaaza jo ulama azaan aur 2 khutbo’n se pehle taqreer karte hain inhei’n is amal ko tark kar dena chaahiye.


✦ Zohar Ehteyaati ki Bidat:

Baaz Hazraat Namaz-e-juma ke Alaawa ‘Zohar Ehteyaati’ padhte aur iska fatwa bhi dete hain, halaa’nke Rasool’Allah (ﷺ) ki Zaat-e-Mubarak aur Aap ke be Shumaar Sahaaba Ikraam(R.A) se juma ke baad Namaz Zohar ka padhna kahi Saabit nahi.

Beharhaal! Ehtiyaati padhne wale Hazraat ko Chahiye ke Kitabo Sunnat se Apne Aamal ki Islah karey.


✦ Juma ke Din Makhsus Roza Rakhna Kaisa ?

♥ Hadees: Nabi-e-Akram(ﷺ) ne juma ke Din Roza ke liye aur juma ki Shab (Jumeraat aur Juma ki Darmiyani raat) ko ibaadat ke liey khaas karne se mana farmaya.

✦ Juma ke din Darood Shareef ki Kasrat:

♥ Hadees: Aap (ﷺ) ne farmaya: ‘Juma ke din mujh par Bakasrat Darood bhejo tumhara darood mujhe paho’nchaya jaata hai.’

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post