43. allah ne apne noor se Hamare Nabi (Sallal Lahu Alaihi Wasallam) ke Noor ko paida kiya ...

(Page No.43)

    Sabse pehle Allah ne Apne Noor se Hamare Nabi (Sallal Lahu Alaihi Wasallam) ke Noor ko paida kiya-

Hadees
Hazrate Jabir (RaziAllahu Anhu) ne Huzoor se jab
poocha
K Allah Ta'ala ne sabse pehle kis cheez ko paida
farmaya ..
Ispar RasoolAllah (Sallalahu Alaihi Wasallam) ne
Irshad farmaya
“Ae jabir! Beshak Allah ne sabse pehle Apne
Noor se ,,
Tere nabi ke Noor ko paida farmaya ... !!
(Mawahibul Laduniyah Sharif V1 Pg9 ,,
Zurqaani Shareef V1 Pg.46 ,,
Seerat-e-Halbia V1 Pg37 ,,
Anwaarul Muhammadiya Pg9)
Hadees
Huzur Sallal Lahu Alaihi Wasllam ne Hazrat
Jibrail (AlaihiSalaam) se Farmaya
AE Jibrail! 2mahri Uamr Kyai h ...
Jibrail (AlaihiSalam) ne Arz kiya
Huzuur ! Muje Kuchh Khabar Nai ,,
Itna Jaanta Hun Ki Chauthe Hijaab me Ek
Noorani Taara ,,
70 Hazaar Baras k Baad Chamakta tha ...
Mene uss Taareko 72 Hazaar Martaba Chamakte
dekha hai ...
Huzoor (Sallal Lahu Alaihi Wassalam) ne yeh
sunkar rarmaya
Mere Rab ki Izzat ki Kasam ,,
Me hi woh Noorani Taara hun ... !!
(Ruhul Bayaan, V1, Pg974)
Hadees
Me Allah k Noor se hun ..
Or Tamam Makhlook mere Noor se h ..
Or sabse pehle Allah ne Mere Noor ko Paida
kiya ... !!
(Tirzimi page 201)
Hadees
Ek Sahabi ne Arz kiya
Apko Nubuwat kab mili ...
Huzur ne farmaya
Me uss Waqt b Nabi tha ,,
Jab Adam Mitti or Rooh k Darmiyan the .. !!
(Sahiul Isnaad)
Or Allah ne hamare Nabi ko Noorul Bashar
banakar bheja ,,
Jo unhe Bashar na Maane uska b Iman
kharab ...
Or jo apni Tarha Bashar Maane uska to Iman hi
Khatm ...
Haddeso se Sabit karta hu ki Hamare Nabi Noor
the .
Quran
Beshak
2mhari taraf Allah ki tarf se Noor (Sallal Lahu
Alaihi Wasallam) aya h ,,
Or Roshan Kitab ... !!
(surh Maida Para 6 Ayat 15)
(Tafseer ibn Abbas Pg.72
Quran
Chahte hain ki
Allah k Noor ko apni ,,
Muh ki Phoonko se Bujha den ,,
Lekin Allah apne Noor ko ,,
Pura Farma k Rahega ..
chahe ye Kafiro ko bura lage ... !!
(Surh Toaba ayat 32)
Hadees
Huzur ne Farmaya
Me Adam k paida hone se pehle ,,
Rab k Huzur me Noor tha ... !!
(Ahkam Ibnal Quhtan ,,
(Tafseer Durre Mansoor)
Ibne Sabah Farmate hain
Huzur Pur Noor k Khais me tha ,,
K Aap ka Saya ,,
Zameen par na padta tha ... !!
(Zurqani ,, Khasais ul Bubra)
Hadees
Hazrat Ali (RaziAllahu Anho) farmate hain
Jab Huzoor (Sallal Lahu Alaihi Wasallam) kuch
Irshaad farmate ,,
To unke Mubarak Daanton k beech me se Noor
ki kirne Phut ti dikhai deti thi ... !!
(Mawahibul Laduniyah V1 page 270 ,,
Anwaarul Muhammadiya Page132 ,,
Zurqaani Shareef)
Hadees
Me Aulade Aadam me ,,
Sabse zyada Mukkarran ..
Or Sabse Zyada Muazzam hun ... !!
(Tirzimi ,, Abwabul Manaqib)
Hazrat Aisha (RaziAllahu Anha) farmati hain
Main Andheri raat me i sui (Needle) me dhaage
puro leti thi ,,
Huzoor k Noor ki Roshni se ... !!
(Shara Shifa Hashia Naseemur Riyaz V1 Page
328)
Hadees
Hazrat Umar RaziAllahu Anhu farmate hain
RasoolAllah (Sallalahu Alaihi Wasallam) ne
farmaya
Main 2m me se kisi ki tarha nahi hun ... !!
(Jaam’e Tirmizi V1 page 97 ,,
Sahih Bukhari Vol1 page246)
Hazrat Ali (RaziAllahu Anhu) farmate hain
Mene Huzoor (Sallal Lahu Alaihi Wasallam) k
jesa ,,
Kisi ko na paaya ..
Na unke pehle ,,
Na unke baad ... !!
(Taareekh-e-Kab eer V1 Page8 ,,
Khasaais ul Kubra V1 page181 ,,
Tirmizi Shareef V2 page.204)
Hadees
Huzur ne Sahabio ko Raat din k Roze Rakhne se
mana Farmaya ...
Sahabi ne Arz kiya
Ya RasoolAllah aap to Wisal k Roze Rakhte
hain ...
Huzur ne farmaya
Me 2hari tarha (Aam Insan) nahi hun ,,
Muje Rizk diya jata h ... !!
(Muslim V2 page 774 ,,
Bukhari V2 Page 693 ,,
Nisai Vol2 page 241)
Quran Ae Imanwalo apni Awazein Unchi na
klaro,,
Uss Gaib batane wale (Nabi) ki Awaz se ..
Or unke HUzur baat Chilakar na kaho ,,
Jese Aapas me ek 2sre ko Chillate ho ..
kahi 2mhare Amaal Akaarat na ho jaye ,,
Or 2mhe Khabar na ho ... !!
(Para 26 Ruku 13 Ayat 2)
Quran me Nabi ko Rehmat kaha gaya ..
Quran
Humne bheja jo Rahmat (Muhammad) h ,,
Zamane k liye ... !!
(Surh Ambiya Ayat 107)
Hadees
Huzur Sallal Lahu Alaihi Wasallam Irshad karte h
jese meri Zindsi 2mhare liye Rehmat ) h ,,
wese hi mera Parda farmana b 2mhare liye
Rehmat h ,,
(musnad Vol 1 page 397 ,,
Manaahil Al-Safa Pg 31 Hadees 8 ,,
Al ksasis sl Kubra Vol 2 pg 281 ,,
Majma al Zawwad )
To isko thoda Tafseel se Samajne ki zarurat
hain ..
>>>>>>>>>>>>>>> >>>>>>>>>>>>>>> >>>>>>>>>>
>>>>>>>>>>>>>>> >>>>>>>>>>>>>>> >>>
Masla Noor o Bashr.
Aqeeqa Ahl e Sunnat Quran o Hadis ke roshni
mai issey read kijea aur aaj k is pur fiten door
mai apnay aqeday ho deen k choro say mahfooz
rakhea.
Question..?
Kya Sarkar e Azam peace be upon him NOOR
hain aur dunia mai libad e Bashri mai tashreef
lae hain QURAN o HADIS ke roshni mai
jawab…??
Answer..
Islami Aqayed mai yeh baat mojood haik Nabi e
Kiram Alaihisslam NOOR k paiker hain SARKAR E
AZAM Alaihisslam bhi NOOR hain magar is dunia
main libas e Bashriyat main ashreef laye hain.
Lehaza SARKAR E AZAM Alaihisslamka NOOR
hona un ke haqeeqat hai aur bashriyat aap
Alaihisslam ke sifat hai isliyea hamai SARKAR E
AZAM Alaihisslam ke bashriyat aur Noraniyat
dono per eman rakhna zroroi hai.
Al Quran.
Ayat…: LA QAD JAA’AKUMMENALLA HE NOOR.
(Sorah Ma’aeda Ayat 15 Parah 6)
Turjuma..
Bai shaq tumhary pas a gaya Allah ke taraf say
1 noor.
Tafseer..
Tafseer e Ibne Abbas page no 72… Tafseer e
Kabbir page no 396 jild 3… Tafseer e Khazin
page no 417 Jild awal, Tafseer e Madarik page
no 470 Jild 1..Tafseer e Rooh alma’ani page no
87 Jild 6…Tafseer e Rooh ul bayan page no 548
Jild 1…Tafseer e Durr e Mansoor page no 231 Jild
3….Tafseer Jalalain..Tafse er Ibne e Jareed…
Maraj un nabuwat…..aur Mawahib al ludunia
tamaam Mu’utabar tafaseer mai mufasreen nay
is ayat mai NOOR say SARKAR E AZAM
Alaihisslam murad lia hai.
Al Quran.
Ayat..WA ANZALNAA ELYEKUM NOORAN
MUBEENA.
Turjuma…
Aur hum nay tumhari taraf roshan noorutara.
Tafseer.
Is ayat mubaraka mai roshan noor sya murad
SARKAR E AZAM Alaihisslam ke zaat hai.
Al Quran.
Chahty haink Allah ka noor apnay muh (mouth)
say bujha dain aur Allah na manay ga magar
apnay noor ko poora kerna paray bura na
manain kafir.
Sorah Tobah Ayat no 32 Parah 10.
Tafseer.
Mufasreen is ayat ke tafseer main likhty hian k
is Ayat mai NOOR say murad SARKAR E AZAM
Alaihisslam hain,kuffar chahty thy k SARKAR E
AZAM Alaihisslam ko (Ma’az Allah) qatal ker diya
jae Quran e Majeed ke is ayat mai wazih hai k
Allah Ta’ala nay apnay Mahboob Alaihisslam ky
qatal per kissi ko qudrat nahe di.
In Ayat aur tafaseer say yeh baat sabit ho gae k
SARKAR E AZAM Alaihisslam NOOR hain.
NOOR E MUSTAFA Alaihisslam AHADEES KE
ROSHNI MAIN….
HADIS SHARIF.
AWWA LU MA KHALAQALLAHE NOORI.
Turjuma.
SARKAR E AZAM Alaihisslam nay irshad farmaya
tamam makhlooqat say pehly Allah Ta’ala nay
meray NOOR ko paida farmaya..
(Ba hawala: Tafseer e Rooh ul bayan….jild 2
page no 191, Madiraj alnabawut jild 2 page 2,
Ma’arij al Nabawaut Jild 5 page no 135.
Hadis Sharif.
ANA MIN NOORILLAHE WALKHALAQU KULLIHUM
MIN NOORI.
Tarjuma.
SARKAR E AZAM Alaihisslamnay irshad farmaya
keh main Allah Ta’ala keh NOOR say hu aur sari
makhlooq mery NOOR say hai. (Bahawala =
Ma’arij al Nabawaut, Musanaf Shah Abdul Haq
Muhaddis e Dehalvi Alerahma)
Hadis Sharif.
Hazrat Jabir RaddiAllah huta’ala Anho say marvi
hai keh SARKAR E AZAM Alaihisslam nay irshad
farmaya ay Jabir! RaddiAllah huta’ala Anho, bai
shaq Allah Ta’ala nay sub Ashiya (things) say
pehly tery Nabi Alaihisslamka NOOR apnay
NOOR (keh faiz) say paida farmaya. (Bahawala=
Mawahib eLudonya, Zarqani Sharif Jild 1 page
no 42)
Hadis Sharf.
Hazrat Ibne Abbas RaddiAllah huta’ala Anho
bayan kerty hain aik raat main apni Khala Syeda
Maimona RaddiAllah huta’ala Anha keh thehr
(stay) gaya (Imam Muslim farmaty hain) is keh
baad poora qissa hai. Ta hum is main chehry
(face) aur bazo (Arm) dhonay (wash) ka ziker
nahe hai bal keh yeh mazkoor hai keh Aap
Alaihisslam mashkeezy keh pas tashirf laye is ka
muh (Mouth) khola aur darmiyany drjy ka wazu
kiya phr App Alaihisslam bisterper a ker so gaye.
Phr dobara baidar hue, mashkeezy k pas aye
aur mukamilwazu kiya (Muslim farmaty hain is
riwayat main dua k alfaz main) mujy NOOR bana
dy, k bajae “mery NOOR maiizafa ker dy” ky
alfaz hain. (Bahawala = Muslim Sharif Jild 1 Book
Salah w al Musafireen w Qasar ha, Raqam al
Hadis1693 Page 596 Matbua Shabeer Brothers
Lahore)
Faeda (benefit).
Huzoor Alaihisslam ka dua farmana kehmery
Mola Azzwajal mery NOOR mai izafa ker dy, is
baat ke taraf ishara hai keh mery AAQA
Alaihisslam NOOR to thyhe is lea to apnay NOOR
mai izafa ke dua ke.
Aqeeda.
Sub say pehly martabah e Nabawut Huzoor
Alaihisslam ko mila. Roze Misaaq tamaam Ambia
Alaihisslam sya Huzoor Alaihisslam per eman
lany aur Huzoor Alaihisslam ke nusrat kerny ka
ahad liya gaya aur issi shart per yeh mansab e
AZAM Huzoor Alaihisslam ko diya gaya. Huzoor
Alaihisslam Nabi ul Ambia hain aur tamaam
Ambia Huzoor Alaihisslam ky ummati sub nay
apnay apnay ahad e Karim mai Huzoor
Alaihisslam ke niyabat mai kam kiya. Allah
Azzwajal nay Huzoor Alaihisslam ko apni zaat ka
mazhar banaya ur Huzoor Alaihisslam keh NOOR
say tamaam alim ko munawar farmayar. ( Bahar
e Shariyat, Hissa awal)
Aqeeda aik Musalman ka yahe hona chahea k
SARKAR E AZAM Alaihisslam bazahar bashr hain
magar bai misaal bashr bashriyat mai b aap ka
koi sani nahe lakin apke Haqeeqat noor he hai.
In tamaam Ahadees e Mubaraka say yeh bat
sabit hue k SARKAR E AZAM Alaihisslam NOOR ul
AALA NOOR hain balkeh Aap Alaihisslam keh
noor say he Kayenaat (Whole World) mai NOOR
hai.
Bashriyat ka falsafa.
Al Quran.
Turjuma.
Aap farmao keh zahri soorat bashri main to mai
tum jesa hoon.
(Sorah Qahaf, Ayat 110 Parah 15-16)
Is Ayat e Karima may SARKAR E AZAM
Alaihisslam say Alla Ta’ala nay Bashr kehlwaya
yaha lafz e bashr kehna Aap Alaihisslam ke
inkesari hai jaisy koi Hakim e WAqat apni riaya
say kahay keh mai to ap ka khadim honn.
Khadim kehna Hakim e Waqat ke ajizi o inkesari
hai kehny say wo khadim hargiz na ho ga
SARKAR E AZAM Alaihisslam say Allah Ta’ala nay
bashr kehalwaya, khud Rabbe Karim nay basher
na kaha.
Ba’az mufaseerin nay is ayat ka yahe matlab
bayan kiya hai keh kissi insane ko yeh haq hasil
nahe hai keh Nabi ko aam insano jaisa bashr
kahay Ambia e Kiram Alaihisslam ko apnay jaisa
bashr samjna Iblis aur kufar ka tareeqa hai.
Sub say pehly Nabi ko hiqarat say bashrkehny
wala Shaita tha, Hazrat Adam Alaihisslam keh
baray mai shaitan nay kaha.
Al Quran.
Turjuma.
Bola mjhy zeba nahe keh mai bashr ko sajda
karu.
(Sorah Hijrat Ayat 33 Parah 26)
Maloom huwa keh Ambia e Kiram Alaihisslam ko
hiqarat say bashr kenay ka agaz Shaitan say
huwa phr is ky chaily kuffar o mushriqeen bhi
Ambia e Kiram Alaihisslam ko apnay jaisa basher
kehty thy.
Chunachy Hazrat Nooh , Hazrat Saleh , Hazrat
Hood Alaihisslam ke qoom ky kafir nay in say
kaha.
Al Quran.
Turjuma.
Tum to hum he jaisy bashr ho.
(Sorah Ibraheem , Ayat 10 Parah 13)
Hazrat Shoaib Alaihisslam ke qoom kehkafiroo
nay kaha.
Al Quran.
Turjuma.
Tum to nahe magar hum jaisy basher.
(Sorah Sho’ra’a Ayat 186 Parah 20)
In tamaam Ayaat say amloom huwa keh Ambia
e Kiram Alaihisslam ko apnay jaisa bashr kehna
Shaitan aur is keh pair o kar kuffar o
mushriqeen ka amal hai Mominoo ka tareeqa
nahe hai.
Question.
SARKAR E AZAM Alaihisslam Bashri libaday mai
ku tashreef laye…??
Answer.
Is ka jawab Barasgeer (subcontinent) keh
Muhaddis Muhaqiq Shah Abdul Haq Muhadis e
Dehlvi Aleherahma apni Book Madaraj al
Nabuwat Jild Awal keh page 109 , 110 per dety
hue farmaty hain k SARKAR E AZAM Alaihisslam
sar say lai ker Qadam tak saray k saray NOOR
he NOOR thy, SARKAR E AZAM Alaihisslam
Chand (moon) aur soraj (sun) ke tarha roshan
thy agar SARKAR E AZAM Alaihisslam bashriyat
ka parda pehnay hue na hoty to kissi ko dekhny
ke taqat he na hoti.
==========================================================
*_अल्लाह हमे अपने महबूब हुज़ूर सल्लल्लाहों अलैहि वसल्लम।  के सदके इसी तरह इल्मे दीन सीखने समझने और अमल करने की तौफ़िक अता करे।_*


             //
आमीन//



Post a Comment (0)
Previous Post Next Post