(Page No.26)
Eid Milad un Nabi Ki Haqeeqa-
Eid
Milad un Nabi Ki Haqeeqat – Peer ka din bohat fazilat wala he Hazoor ﷺ ke bohat se kamalat ka zahoor isi din howa. Hazoor iska
roza rakha krte the. ﷺ Jab apse iski waja
daryaft ki gai to Ap ﷺ ne farmaya “is peer
ke din meri wiladat hoi aur isi din meri naboowat ka zahoor howa aur isi din
Nazool-e-Quran ka agaz howa”.
Hazrat Abdullah Bin Abbas (R.A) se riwayat he ke Hazoor ki wiladat shareef peer ke ﷺ din hoi aur Nabowat ka zahoor peer ke din howa aur Macca se Madina hijrat bhi isi din farmai aur Madina me dakhol peer ke din he farmaya aur Hijr-e-Aswad ko apne muqam pr peer ke din rakha.
Eid Milad un Nabi ki shari haqiqat me Hijr-e-Aswad ko apne muqam par rakhne ki tafseel ye heke jab Rasool ﷺ ki umer 25 saal th is wqt quresh ne Kabba shareef ki tamer-e-No ki. Jab Hijr-e-Aswad ko apne muqam pr rakhne ka waqt aya to quresh me sakht ikhtlaf peda hogya. Har qabeele ki khwahish thi ke Hijr-e-Aswad ko wo is muqam pr rakhe. Qareeb tha ke inme shaded qisam ki khoon rezi hojae.
Phir inme jo Ehle Raai the wo mushawrat ke lie Masjid-e-Haram shareef me jama hogae. Is waqt Abu Umya Bin Mugheera quresh me sabse umer raseeda tha. Isne ye mashwra dia kea b Masjid me jo sabse pehle dakhil ho to isse mashwra kia jae. Is raae par itfaq hogya. To sabse pehle Masjid me Hazoor ﷺ dakhil howe to quresh apko dekh kar kehne lage “Ye Amin hen, ham inke faisle par raazi hen”.
Phir sara waqiya inho ne Hazoor ﷺ ke samne rakh dia to Hazoor ﷺ ne farmaya,
Ek chadar lai jae,Ap ﷺ ke hokum ke mutabik chadar lai gai to hazoor ﷺ ne Hijr-e-Aswad ko utha kar is chadar par rakh dia aur irshad farmaya har qabeele ka admi chadar ka kinara pakre. Phir chadar uthai gai. Jab Hijr-e-Aswad ko rakhne ke muqam tak chadar buland hoi to Hazoor ﷺ ne apne haath Mubarak se Hijr-e-Aswad ko deewar-e-Kabba par rakh dia.
=================================================================================
*_अल्लाह हमे अपने महबूब हुज़ूर सल्लल्लाहों अलैहि वसल्लम। के सदके इसी तरह इल्मे दीन सीखने समझने और अमल करने की तौफ़िक अता करे।_*
//आमीन//
//आमीन//