(Page No.66)
Hadith: jo shaksh Isha aur fajar ki Namaz Jamaat se
ada karega to wo aisa hai jaise ki usne sari raat
Ibadat mein Guzari-
Abu hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah
Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jo shaksh Isha ki Namaz Jamaat se ada
karega , wo aisa hai jaise ki aadhi raat tak Ibadat ki , aur jo shaksh Isha aur
fajar ki Namaz Jamaat se ada karega to wo aisa hai jaise ki usne Sari raat
Ibadat mein Guzari.
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 553-Sahih
Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya
Agar logon ko malum ho jaye ki adhan kahne aur namaz pahli saf mein parhney se kitna sawab milta hai to unke liye Qurra dalney ke siwa aur koi chara baqi nahi rahta aur us par wo qurra andazi hi karte
aur agar logon ko malum ho jaye ki namaz ke liye jaldi aane mein kitna sawab hai to uske liye ek dusrey se aage badhne ki koshish karte ,
aur agar logon ko malum ho jaye ki Isha aur Fajar ki namaz ka jamaat ke saath kitna sawab hai to ghaseet-tey huye ( by crawling) aana parhta to bhi aatey
Sahih Bukhari, Vol 1, 615
Ubayy ibn Ka'b Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallamne ne farmaya ye do namazein ( Fajar aur Isha) munafiqon par bahut bhari hai, agar tum jaan lete ki in do namazon ka kitna sawab hai to tum ghutno ke bal chal kar bhi aatey , aur (namaz mein) pahli saf farishton ki saf ki tarah hai agar tum jaan letey ki iski kitni fazeelat hai to yakeenan iski taraf sabqat kartey aur do aadmiyon ka milkar namaz padhna akele namaz pardney se afzal hai aur teen aadmiyon ka milkar namaz padhna do aadmiyon ke milkar namaz padhney se afzal hai aur namaz mein jis qadar bhi (ziyada) log honge Allah taala ke nazdeek wo namaz ziyada pasandeeda hogi
Sunan Abu Dawud, Vol 1, #552-Hasan

===============================================================================
*_अल्लाह हमे अपने महबूब हुज़ूर सल्लल्लाहों अलैहि वसल्लम।
के सदके इसी तरह इल्मे दीन सीखने समझने और अमल करने की तौफ़िक अता करे।_*
//आमीन//