🌹QURAN MAJEED KAB AUR KAISE NAZIL HUWA🌹
"QURAN" KA NUZOOL 2 BAAR HUWA...
PEHLI BAAR PURA "QURAN" LAUH-E MAHFOOZ SE
AASMAN-E-DUNIYA KE BAITUL IZZAT (BAITUL MA'AMOOR)
ME NAZIL KAR DIYA GAYA, YEH NUZOOL LAILAT-UL-QADR
ME NAZIL HUWA...
DUSRI BAAR RASOOL-E KAREEM
(Sallallahu Alaihi Wasallam) PAR THODA THODA HASB-E-HAAL HASB-E-ZAROORAT NAZIL HOTA RAHA, AUR YEH 23 SAAL
ME NUZOOL MUKAMMAL HUWA.
(AL ITTIQAN FI ULUMOOL QURAN, JILD - 1, SAFA No - 35)
QURAN MAJEED ME ALLAH FARMATA HAI :
“HUMNE YEH (QURAN) MUBARAK RAAT ME NAZIL KIYA. YAQINAN HUM DRAANE WALE HAIN. IS RAAT ME HAR HIKMAT WALE KAAM KA FAISLA KIYA JATA HAI”
(SURAH AL DAKHAN : 44)
IN AYAT ME YE WAZAHAT KI GAYI HAI KE QURAN PAAK MUBARAK SHAB ME NAZIL KIYA GAYA OR IS SHAB ME FAISLEY KIYE JATE HAIN.
LAILAT-UL-MUBARAK SE KYA MURAD HAI...?
KUCH ULAMA KA YEH KHAYAAL HAI K IS SE MURAD SHAB-E-BARAT HAI.
JAB KE AKSAR MAUTAQADEEN, MUHADDISEEN, MUFASSIREEN OR FUQHA KE KEHNA HAI KE LAILAT-UL-MUBARAKA SE MURAD LAILATUL QADR HAI.
SURAH AL BAQARAH ME BHI IS AMAR KI WAZAHAT KI GAYI HAI.
“HUM NE YEH QURAN MAAH-E-RAMZAN ME NAZIL KIYA”
(QURAN 2/185)
AUR DUSRI JAGAH FARMAYA GAYA HAI KE
"BESHAK HUM NE YEH (QURAN) SHAB-E-QADR ME NAZIL KIYA.
(SURAH AL QADR : A : 1)
SHARE TO ALL.