55. Azaan Ke Baad Ki Dua

                                                                             (Page No.55)

  Azan Ke Baad Ki Dua-


Mafhoom-e-Hadees: Jabir Bin Abdullah (Razi’Allahu Anhuma) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki –
*Jo Shakhs Adhan(Azan) Sunkar Ye Kahe,
“(Allahumma Rabba Hadhihi-D-Dawatit-Tammaa Was-Salatil Qaimah,
Aati Muhammadan Al-Wasilata Wal-Fazilah,
Wabaathhu Maqaman Mahmudan-Il-Ladhi Waadtah)”
Usey Qayamat Ke Din Meri Shafaat Milegi”.
#Tarjumah: Aye Mere Allah Jo Iss Saari Pukar Ka Rab Hai,
Aur Qayam Rahney Wali Namaz Ka Bhi Rab Hai,
Nabi-e-Kareem Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko
Qayamat Ke Din Waseela Ata Farma,
Aur Maqam-e-Mahmood Par Unka Qayam Farma, Jiska Tuney Unsey Wada Kiya Hai.
– (Sahih Bukhari, Vol 1, 614)
Ameen ,..
==========================================================
अल्लाह हमे अपने महबूब हुज़ूर सल्लल्लाहों अलैहि वसल्लम। के सदके इसी तरह इल्मे दीन सीखने समझने और अमल करने की तौफ़िक अता करे।_*
  
             //आमीन//


4 Comments

Post a Comment
Previous Post Next Post